A poem by Sri Manmohan
Zillat kee rotee
Pahle qillat kee rotee thee
Ab zillat kee rotee hai Qillat kee rotee thandee thee
Zillat kee rotee garm hai
Bas us par rakhee thodee sharm hai
Thodee nafrat,
Thoda khoon laga hai
Itna na-maaloom keh
Kaun kahega khoon laga hai
Har koyee yahee kahta hai
Kitnee swaadisht, kitnee narm
Kitnee khushboodaar hotee hai
Zillat kee yeh rotee..
Zillat kee rotee
Pahle qillat kee rotee thee
Ab zillat kee rotee hai Qillat kee rotee thandee thee
Zillat kee rotee garm hai
Bas us par rakhee thodee sharm hai
Thodee nafrat,
Thoda khoon laga hai
Itna na-maaloom keh
Kaun kahega khoon laga hai
Har koyee yahee kahta hai
Kitnee swaadisht, kitnee narm
Kitnee khushboodaar hotee hai
Zillat kee yeh rotee..
No comments:
Post a Comment