Sunday, November 9, 2014

Kiss Of Love

Kuchh spashtikaran (clarifications) un logon ke liye jo 'Kiss Of Love' aandolan ko sex se jod kar dekh rahe hain.


Asl mein "Kiss Of Love" ke naam se MORAL POLICING ke KHILAAF ek aandolan chalaaya ja raha hai..
Log apne parivaarjanon aur doston ke saath moral policing ke khilaaf baghaavat ke roop mein kiss kar rahe hain
Yeh vidroh dhaarmik kattarpanthiyon (religious fundamentalists) ke un bhaashanon aur bayaanon ke viruddh ho raha hai jinmein auraton ko roz naseehaten dee ja rahee hain.
Yeh vidroh un vaktavyon ke viruddh bhee hai jo balaatkaaree ko bachaane ke liye aur peedit mahila ke khilaaf diye ja rahe hain..


Jaise namak aandolan mein namak banaane ka arth yeh naheen tha keh hum sasta namak bana lenge, ya namak banaane se angrez bhaag jaayega
Woh prateek tha baghaavat ka keh hum aapke ghalat qaanoon naheen maanenge..
Woh aandolan hamaaree ekta aur unke khilaaf ek jut logon kee sankhya dikhaane ke liye kiya ja raha tha..


Theek usee tarah Kiss Of Love aandolan ka arth khule aam sex karna naheen hai.
Yeh vidroh hai jo ailaan karta hai keh humein tumhaare ghalat qaanoon manzoor naheen.
Yeh aandolan yeh bhee ailaan karta hai keh tum apnee soch hum par thop naheen sakte.
Kiss of Love aandolan yeh bhee dikhaata hai keh hum bahut badee sankhya mein maujood hain aur ekjut hain..
Tum hathiyaaron se lais hinsavaadiyon ke khilaaf hathiyaaron se lad naheen sakte par virodh jataaye bina maanenge naheen..